Ilaj ka aghaaz is soch ke sath hua ke sehatmand khana har kisi ki pahunch mein hona chahiye — chahe woh shehar mein rehta ho ya gaon mein.
Aaj ke daur mein milawat wala aata, chemical wale beej aur mehngi imported superfoods aam baat hai. Hum ne socha — kyun na aisi cheezein provide ki jayein jo 100% natural hon, affordable hon aur asanai se har ghar mein pohanch sakein?
Isi soch se Ilaj ka janam hua.
Why us
1. 100% Natural – Zero Milawat
Hum jo bhi bechte hain, woh bilkul natural hai. Na koi chemical, na koi preservative, na koi milawat.
Aapko wahi milta hai jo hum claim karte hain — asli aur saaf.
✅ Multigrain Aata – 7+ anaaj ka pure blend
✅ Chia Seeds – Premium quality, hand-picked
✅ Mix Seeds – 5-in-1 superfood blend
2. Direct Sourcing – Bina Middleman
Hum products seedha farmers aur trusted suppliers se lete hain. Is se do faide hote hain:
Middleman khatam, quality guaranteed.
3. Affordable Prices – Har Ghar Ki Pahunch
Humara maqsad hai ke sehatmand khana mehnga na ho. Is liye hum apni prices market se kam rakhte hain, aur bulk orders par extra discount dete hain.
“Sehat sab ki zaroorat hai, luxury nahi.”